SSB defence sector mein candidates ki bharti ka interview process hota hai. Army, Navy, Air force ka SSB interview kaafi had tak same hota hai par kuch chize alag hoti hai. SSB Interview Procedure in Hindi mein paane ke liye padhe.
SSB Interview Kya Hai?
Indian Army, Airforce aur Navy ke Officer level post ke candidates ka chayan karne ke liye SSB Raksha Mantralaya (Ministry of Defence) dwara banaya gaya tha. SSB Indian armed forces ke liye candidates ka interview conduct karta hai jisme candidates ko physical, mental aur psychological abilities par candidates ko assess kiya jaata hai. SSB ka kaam hai candidates ko evaluate karke best candidates ko recruit karna
SSB Centres In India
Indian Army mein 3 main SSB centres hai :
Selection Centre East: Allahabad
Selection Centre Central: Bhopal
Selection Centre East: Bangalore
AFSB (AIR FORCE SELECTION BOARD) mein 4 main SSB centres hai:
Dehradun
Mysore
Gandhi Nagar
Varanasi
Indian Navy mein 3 main SSB centres hai:
Bhopal
Bangalore
Coimbatore
SSB Interview Dates 2021
Har post ki SSB exam dates alag hoti hai. SSB ke liye candidates ko batches mein bulaya jaata hai aur har batch ki alag date hoti hai. SSB interview date har post ke written exam ya shortlisting ke baad hi release ki jaati hai.
Call Letter ane ka koi fixed days ni h ye SSB se pahle 1 month se 15 din pahle tak ka ho sakta hai,